Ye chaandni bhi jinko chhootey hue darti hai - Ghazal

Ye chaandni bhi jinko chhootey hue darti hai,,,
Duniya unhi phoolon ko pairon se masalti hai...

Shohrat ki bulandi bhi pal bhar ka tamasha hai,,,
Jiss daal pe baithe ho wo toot bhi sakti hai...

Lohaan me chingari jaise koi rakh jaye,,,
Yun yaad teri shab bhar seene me sulagti hai...

Aa jaat hai khud kheenchkar DIL seene se patri par,,,
Jab raat ki sarhad se ek rail guzarti hai...

Aansu kabhi palkon par ta-dair nahin ruktey,,,
Urr jaaatey hain ye panchi jab shaakh lachakti hai...

Khush rang parindon ke laut aane k DIN aaye,,,
Bichchre hue miltey hain jab barf pighalti hai...!!!

0 comments: