Ek Shakhs ko dekha tha, taro'n ki tarha humne,
Ek Shakhs ko chaha tha, apno ki tarha humne,,
Ek Shakhs ko samjha tha, Phoolo'n ki tarha humne,
Wo Shakhs qayamat tha, kya karein uski baatien,,
Din us k liye paida aur uski hi thi raatein,
Kab milta kisi se tha Hum se hi thi mulaqatein,,
Rang uska shahabi tha, Zulfon me thi maikharein,
Aankhen thi'n ke Jaadu tha, Palkein thi talwarein,,
Dushman bhi agar dekhey to Jaan se DIL haarey,
Kuchh tum se wo milta tha, Baato'n me shabahat thi,,
Haan tumsa hi lagta tha, Shokhi me Shararat me,
Lagta bhi tum hi sa tha, Dastoor-e-Muhabbat me,,
Wo Shakhs hume ek din apno ki tarah bola,
Taaro'n ki tarha dooba, Phoolo'n ki tarha toota,,
Phir haath na aaya wo humne bahut dhoondha,
Tum kis liye chonkey ho, kab Zikr tumhara hai,,
Kab tum se taqaza hai, kab tum se shikayat hai,
Ek taaza hikayat hai, Soun to inayat hai,,
Ek Shakhs ko dekha tha, taro'n ki tarha humne,
Ek Shakhs ko chaha tha, apno ki tarha humne,,
Ek Shakhs ko samjha tha, Phoolo'n ki tarha humne,
Ek taaza hikayat hai, Soun to inayat hai...!!!
Full View »