Showing posts with label Islamic Quotes. Show all posts

Aye Khuda kitna Asan hai tujhko Manana

Sirf Ehsas-E-Nadamat, Ik Sajda aur Chasm-E-Tar
Aye Khuda kitna Asan hai tujhko Manana


Full View »

Muhabbat kar saktey ho - Islamic Shayari

Muhabbat kar saktey ho to ALLAH se karo,,,
Mitti ke khilono se kabhi wafa nahin milti...!!!


Full View »

Jis Khwab me ho jaye Deedar-E-Nabi - Islamic Shayari


Jis Khwab me ho jaye Deedar-E-Nabi (S.A.W.) Hasil,,,
Aye Ishq kabhi Humko bhi wo neend sula dey (Aameen).
Full View »

Imtihaan hai khudaya - Islamic Shayari

Imtihaan hai khudaya, ya azaab chal raha hai,
Amaal ki hai shaamit, ya hisaab chal raha hai,

Yeh hum’nasb luterey, sab mil beth ker khayen,
Ik dusrey ko pakrren to ehtesaab chal raha hai,

Munaafiq ho jo momin, to hai kufaar se bad’tar,
Safo’n mein hamari, Firaun ka nisaab chal raha hai,

Kehne ko yeh zamana, bohat hi bura hai,
Hamarey amaal sa hi kharaab chal raha hai,

Jitna barra hai mujrim, utna barra hai qayed,
Haqeeqat hai yeh siyaasat, yeh seraab chal raha hai..
Full View »

Mein bojh ban jaounga - Sad Shayari


Mein bojh ban jaounga ik din apne hi dosto'n par saaqi,,,
Kaandhey badal rahe honge wo har do Qadam k baad...!!!
Full View »

Chahen to Ishaare se apne - Islamic Shayari


Chaahen to ishaare se apne,,,
kaya hi palat den duniya ki...

Yeh shaan hai khidmat gaaron ki to sardaar ka aalam kya hoga,,,
Har koi fidaa hai bin dekhe, Deedaar ka aalam kya hoga???!!!
Full View »

Ek din Hazrat Jibrail - Islamic SMS

1 DIN Hazrat Jibrail (A.S) Huzoor (S.A.W)
k paas aye or kaha ALLAH ne mujhey itni taqat di hay k
main sari dunia k darakhton k pattay gin sakta hon
or pani k saray qatray or rait k saray zarray gin sakta hon
lekin us aadmi per rehmat ki tadad nahin gin sakta
jo AAP(S.A.W) per 1 bar darood parhta hai”
Full View »

What is NAMAZ - Best Line

What is NAMAZ

N = Nabi ke tareeke par
A = Allah se
M = Maangne ka
A = Aasan
Z = Zariya

Namzon ka ahtram karein aur apne relative and friends ko Namaz ki hidayat dein...!!!
Full View »

Iss EID pe lot ke aa jaana - Eid Shayari

Iss EID pe lot ke aa jaana,,,
Kuchh Yadein taaza karni hai...
Kuchh lamhey morr k laaney hain,,,
Kuchh taarey torr ke laaney hain...
Wo masti aur wo madhoshi,,,
Wo Bachpan morr ke laana hai...
Iss EID pe lot ke aa jaana,,,
Ab saath bahut din rehna hai...
Ab DIL ko DIL ki dhadkan se,,,
Phir EID mubarak kehna hai
Iss EID pe lot ke aa jaana...!!!
Full View »

Ab maza aayega EID ka - Eid Shayari

Ab maza aayega EID ka,,,
Bachcha Bachcha muntazir hai deed ka...

Ab nahin hijr ganwara k kareeb aa jao,,,
EID ka bhi hai Ishara k kareeb aa jao...

Ubhra nahin hai Chaand nazar beqarar hai,,,
Aise mein bhala khaak aaye EID ka maza...

Abr-E-Rehmat ban kar chaa jao Pyam-E-Eid hai,,,
Char-O-Soo Noor barsao Pyam-E-Eid hai...!!!
Full View »

Jo tumhari khamoshi se - Best Line

Jo tumhari khamoshi se tumhari taqleef ka andaza na laga sake,
Uske saamne zaban se izhaar karna sirf lafzon ko zaya karna hai

                                                                                                 Hazrat Ali (R.A.)
Full View »