Tum aao to hum bhi EID karein - EID Shayari

Tum aao to hum bhi EID karein,
Hasrat hai tumhari Deed karien,,
Tum aao to hum bhi EID karein...!!!

Kuchh der to mann ko chain mile,,
Kuchh roz to mann k phool khilen,
Kehtey hain EID ki aamad hai,,
Ab log kuchh ta'keed karein,
Tum aao to hum bhi EID karein...!!!

Tum se ye ek Guzarish hai,
Ye apne DIL ki khwahish hai,,
Ek baar milo, Ek baar milo,
Har baar yahi ta'keed karein,,
Tum aao to hum bhi EID karein...!!!

Mana hum deewane hain,
Sab baaton se anjaane hain,,
Jab apne hi begane hain,
Kya gairon se ummeed karein,,
Tum aao to hum bhi EID karein...!!!

 

0 comments: