Showing posts with label Urdu Poetry. Show all posts

Phool khil jayen to us Shakhs se kam kam milna - Love Shayari

Phool khil jayen to us Shakhs se kam kam milna,,,
Aise mousam me Muhabbat pe zawal aatey hain...!!!
Full View »

Alfaz-E-Namumkin ka istemaal Buzdil kiya kartey hain - Best Shayari

Alfaz-E-Namumkin ka istemaal Buzdil kiya kartey hain,,,
Bahadur aur Aqalmand Insaan apna raasta khud banatey hain...!!!
Full View »

Ek Shakhs ko dekha tha, taro'n ki tarha humne - Ghazal

Ek Shakhs ko dekha tha, taro'n ki tarha humne,
Ek Shakhs ko chaha tha, apno ki tarha humne,,
Ek Shakhs ko samjha tha, Phoolo'n ki tarha humne,
Wo Shakhs qayamat tha, kya karein uski baatien,,
Din us k liye paida aur uski hi thi raatein,
Kab milta kisi se tha Hum se hi thi mulaqatein,,
Rang uska shahabi tha, Zulfon me thi maikharein,
Aankhen thi'n ke Jaadu tha, Palkein thi talwarein,,
Dushman bhi agar dekhey to Jaan se DIL haarey,
Kuchh tum se wo milta tha, Baato'n me shabahat thi,,
Haan tumsa hi lagta tha, Shokhi me Shararat me,
Lagta bhi tum hi sa tha, Dastoor-e-Muhabbat me,,
Wo Shakhs hume ek din apno ki tarah bola,
Taaro'n ki tarha dooba, Phoolo'n ki tarha toota,,
Phir haath na aaya wo humne bahut dhoondha,
Tum kis liye chonkey ho, kab Zikr tumhara hai,,
Kab tum se taqaza hai, kab tum se shikayat hai,
Ek taaza hikayat hai, Soun to inayat hai,,
Ek Shakhs ko dekha tha, taro'n ki tarha humne,
Ek Shakhs ko chaha tha, apno ki tarha humne,,
Ek Shakhs ko samjha tha, Phoolo'n ki tarha humne,
Ek taaza hikayat hai, Soun to inayat hai...!!!
Full View »

Aap ne kya socha, Paigham nahin aayega - Eid Shayari

Aap ne kya socha, Paigham nahin aayega,
Socha ye Dost aapko yunhi bhool jayega,,
Ye to aadat hai humari sataney ki warna,
Itna pyaara Dost EID par kaun bhulana chahega...!!!
Full View »

Door hokar bhi tum kabhi door nahin hue - Sad Shayari

Door hokar bhi tum kabhi door nahin hue,
Tum har waqt Ehsaas bankar DIL me maujood rahe,,
Dukh iss baat ka nahin k hum tumhe paa na sake,
Dukh iss baat ka hai k bichhar kar bhi hum tumhe bhula na sake...!!!
Full View »

Yun to khamosh hi rehti hain Aankhen - Aankhen Shayari

Yun to khamosh hi rehti hain Aankhen,
Agar samajh sako to bahut kuchh kehti hain aankhen,,
Kaun kehta hai k roti hai Aankhen,
Rota to DIL hai magar kehti hain Aankhen...!!!
Full View »

Aaj tak jo hum tum se keh na sake - Romantic Shayari

Aaj tak jo hum tum se keh na sake,
Aaj wazahat se iqraar kartey hain,,
Jise tum roz dekhtey ho Aainen me,
Usse hum Be-panah pyaar kartey hain...!!!
Full View »

Dekhiye Chand Raat aayi hai - Eid Shayari

Dekhiye Chand Raat aayi hai,
Saath khushiyan Hazaar layi hai,,
Tum chaley aao ek lamhey ko,
Hum bhi manaein k Eid aayi hai...!!!

Hum ne kismat ajeeb paayi hai,
Jaise tumne jhalak dikhlayi hai,,
Eid ka din hai aur judai hai,
Keh rahi hai hawa mujhse "Sahil"
Usne aaj mehendi bhi lagayi hai,,
Chale aao k EID aayi hai...!!!
Full View »

Dosti karna to yun jaise Ibadat karna - Dosti Shayari

Dosti karna to yun jaise Ibadat karna,,,
Warna bekar hai yun rishto'n ki tijarat karna...!!!
Full View »

Gayi ruton ki badan se thakaan le jaye - Urdu Shayari

Gayi ruto'n ki badan se thakaan le jaye,,,
Safar tamaam ho aisa ki jaan le jaye...
Bana de mujhe kisi Imtihan k qabil,,,
Nahin to bhej Farishta ki jaan le jaye...!!!
Full View »